Zindagi Ae Zindagi Lyrics– Rahat Fateh Ali Khan | Maatr

Beasar hain
Saari aahein iltejayein raye gaan
Na koi humdard apna na koi
Meharbaan…
O hum sunaye kisko apni dastaane bebasi,

Zindagi ae zindagi -x4.

Ik pal mein jaane ki zilmat
Chaal kaisi chal gayi
Loriyan thi jo labon pe
Aahon mein kyun dhal gayi.

Kyun aansuon mein
Beh gaye woh
Khwaab jo, aankhon mein the.

Dil ki har ik
Aarzu bhi, saath dil ke jal gayi.

O kis tarah jhele
Koi ab waqt ki ye sandili.

#zindagi aye zindagi -x4.

Bujh gaya har ek manzar
Chaand taare kho gaye,

Na woh aayi
Jo banwar mein
Do kinare kho gaye.

In raaston se mit gaye
Saare hi kadmon ke nishaan.

Mera humsafar
Khoya toh jaise
Sab sahare kho gaye.

Ho manzilein bhi ajnabi hain
Rahguzar bhi ajnabi.

Zindagi ae zindagi -x4.

Bhatke huwe hai raahon mein
Insaan tere ya rabb mere
Insaniyat bhoole hain ye
Insaan tere ya rabb mere.

Sab jaan ke anjaan hai
Bas naam ke insaan hain.

Hai bas se bhi badtar huwe
Insan tere ya rab mere,

Mere khuda karam ka apne jalwa dikha
Tu sahara de
Soonahon doobe dilon ki ilteja
Tu sahara de,

Mere khuda, mere khuda
Tu sahara de -x2.