Sehra sahil jangal basti baag woh,
Shola shola jalta chirag woh,
Ho parwat paani andhi ambar aag woh,
Shola shola jalta chirag woh,
Har kaali raat se ladta hai,
Woh jalta aur nikharta hai,
Aage hi aage badhta jab tak zinda hai,
Bhitar toofan abhi zinda hai,
Jazbon mein jaan abhi zinda hai,
Sagar khamoshi mein bhi sagar hi rehta hai,
Lehron se kehta hai woh zinda hai,
Bhitar toofan abhi zinda hai,
Jazbon mein jaan abhi zinda hai,
Raqt ke saaye mein hai woh chupa,
Dushman na dekhega kal ki subah,
Kahan se aaya woh kahan hai jata,
Na mujhko pata hai na tujhko pata,
Haan woh nihatta shatru ko karta nirastr,
Bhes badalta woh jaise ho mastr,
Jad se ukhaadega bhitar se maarega,
Uska irada hai brahma ka astr,
Gyani hai swabhimani wohi,
Tu jaanta uski kahani nahi,
Zinda hai zinda rehaga woh jab tak,
Hai marne ki usne hi thaani nahi,
Hairat gussa chahat aur malaal woh,
Ziddi ziddi ziddi khyaal woh,
Hey.. jung bhi hai woh hamla bhi aur chaal woh,
Ziddi ziddi ziddi khyaal woh,
Sholon ki ankh mein rehta hai,
Har sachi baat woh kehta hai,
Lava sa ragon mein behta hai,
Woh jab tak zinda hai,
Bhitar toofan abhi zinda hai,
Jazbon mein jaan abhi zinda hai,
Sagar khamoshi mein bhi sagar hi rehta hai,
Lehron se kehta hai woh zinda hai,
Bhitar toofan abhi zinda hai,
Jazbon mein jaan abhi zinda hai,