Yeh raat bheegi bheegi
Yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
Woh chaand pyara pyara (x2)
Kyun aag si laga ke
Gumsum hai chandni
Sone bhi nahi deta
Mausam ka yeh ishara
Ithlaati hawa neelam sa gagan
Kaliyon pe ye behoshi ki nami
Aise mein bhi kyun bechain hai dil
Jeevan mein na jaane kya hai kami
Kyun aag si laga ke
Gumsum hai chandni
Sone bhi nahi deta
Mausam ka yeh ishara
Yeh raat bheegi bheegi
Yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
Woh chaand pyara pyara
Jo din ke ujaale mein na mila
Dil dhoondhe aise sapne ko
Iss raat ki jagmag mein doobi
Main dhoondh rahi hoon apne ko
Yeh raat bheegi bheegi
Yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
Woh chaand pyara pyara
Kyun aag si laga ke
Gumsum hai chandni
Sone bhi nahi deta
Mausam ka yeh ishara
Aise mein kahin kya koi nahi
Bhoole se jo humko yaad kare
Ikk halki si muskaan se jo
Sapnon ka jahan aabaad kare
Yeh raat bheegi bheegi
Yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
Woh chaand pyara pyara
Kyun aag si laga ke
Gumsum hai chandni
Sone bhi nahi deta
Mausam ka yeh ishara
Yeh raat bheegi bheegi.. mmm..
Sone bhi nahi deta
Mausam ka yeh ishara