Inn kaali sadiyon ke sar se
Jab raat ka aachal dhalkega
Jab dukh ke badal pighlenge
Jab sukh ka sagar chalkega
Jab ambar jhumke nachega
Jab dharti nagmein gayegi
Woh subah humi se aayegi
Woh subah humi se aayegi
Woh subah humi se aayegi
Woh subah humi se aayegi
Jis subah ki khatir jagg jagg se
Hum sab mar mar ke jeete hai
Jis subah ki amrit ki dhun mein
Hum zehar ke pyale peete hai
In bhooki pyaasi roohon par
Ek din tu karam pharmayegi
Woh subah hami se aayegi
Woh subah hami se aayegi
Maana ke abhi tere mere
Armanon ki kimat kuch bhi nahi
Mitti ka bhi hai kuch mol magar
Insanon ki kimat magar kuch bhi nahin
Insano ki izzat jab jhoothe
Sikkon mein na toli jayegi
Woh subah hami se aayegi
Woh subah hami se aayegi
Woh subah hami se aayegi
Woh subah hami se aayegi
Woh subah hami se aayegi
Woh subah hami se aayegi..