Tere bina marz aadha adhoora hai
Ek dhundh hai
Shaam hai naa savera hai
Tanha hoon main
Phir bhi tanha nahi
Darr yeh hai ke fanaa ho na jaaun
Aa jaa na…
Nigaahon se ilzaam de
Adaaon se paigaam de
Koi toh mujhe naam de
Ishq hai bad-gumaan
Aa jaa na…
Nigaahon se ilzaam de
Adaaon se paigaam de
Koi toh mujhe naam de
Ishq hai bad-gumaan
Tu nadi ka kinaara
Gumnaam saa main hoon safeena
Tu hai mausam bahaara
Sookhi sookhi main heena
Jaan meri hai phasi ek mulaaqat mein
Kaise main ab jeeyun
Aise halaat mein
Sar pe gham ka hai jo aasmaan
Tere bina marz aadha adhoora hai
Ek dhundh hai
Shaam hai naa savera hai
Tanha hoon main
Phir bhi tanha nahi
Darr yeh hai ke fanaa ho na jaaun
Besabar ho rahi hai ye meri baahein
Tu kahaan hai?
Benazar ho rahi hai yeh nigaahein
Tu kahaan…?
Apne dil se mera haq mitaane lage
Mere har khwaab ko tum jalane lage
Dil mein bharne laga hai dhuaan…
Tere bina marz aadha adhoora hai
Ek dhundh hai
Shaam hai naa savera hai
Tanha hoon main
Phir bhi tanha nahi
Darr yeh hai ke fanaa ho na jaaun
Aa ja naa…
Nigahon se ilzaam de
Adaaon se paigaam de
Koi toh mujhe naam de
Ishq hai badgumaan…