Re yahan charche mein dekho filmstars hain,
Woh toh kaandhe pe liye ghume stars hain,
Hum party karein jo itwaar hai,
Woh toh maathe pe seh raha vaar hai,
Re attitude hai kare border wo ade,
Dushman ko deta daily dose hai,
Re khadi sarhad pe fauj hai,
Tabhi teri meri mauj hai,
Khadi sarhad pe fauj hai,
Tabhi teri meri mauj hai,
Khadi sarhad pe fauj hai,
Re jeete hamesha ye haare kabhi na,
Ghuss ke jo maare wo hai bhartiya sena,
Milta na bheekh mein na ye mile luck se,
Milta hai rootba pure haq se,
Koi Haryane ka to koi Gujarat ka,
Masla ye desh ka na choti moti baat ka,
Jaan pe khelna inki roti-rozi hai,
Arre! asli superstar toh desh ka fauji hai,
Arre AC mein baith ke bolna asaan hai,
Bade bade muh ko yaaron kholna aasaan hai,
Re seene pe goli toh fauj hai khaati,
Jab yaaron hoti sarhad pe ghamsaan hai,
Re koi superhit toh koi gaya duck pe,
Pakte hain kaan mere iss bak-bak se,
Chalo khadi karo ab iss tashreef ko,
Desh ke jawano ko salaam kar haq se,
Kyunki sarhad pe fauj hai,
Tabhi teri meri mauj hai,
Khadi sarhad pe fauj hai,
Tabhi teri meri mauj hai,
Khadi sarhad pe fauj hai,