saaqiya, saaqiya
saaqiya aaj mujhe nind nahi aayegi
nind nahi aayegi
saaqiya aaj mujhe nind nahi aayegi
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
aankho-aankho me yun hi raat guzar jaayegi
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
saaqiya aaj mujhe nind nahi aayegi
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
aankho-aankho me yun hi raat guzar jaayegi
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
saaqi hai aur shaam bhi, ulfat kaa jaam bhi
taqadir hai usi ki, jo le inse kaam bhi
rang-e-mahfil hai raat bhar ke liye
rang-e-mahfil hai raat bhar ke liye
sochna kya abhi sahar ke liye
sochna kya abhi sahar ke liye
rang-e-mahfil hai raat bhar ke liye
sochna kya abhi sahar ke liye
tera jalwa ho teri surat ho
aur kya chaahiye nazar ke liye
aur kya chaahiye nazar ke liye
aaj surat teri beparda nazar aayegi
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
saaqiya aaj mujhe nind nahi aayegi
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
mohbbat me jo mit jata hai wo kuch kah nahi sakta
ye wo kucha hai jisme dil salaamat rah nahi sakta
kiski duniya yahaan tabaah nahi
kiski duniya yahaan tabaah nahi
kaun hai jiske lab pe aah nahi
kaun hai jiske lab pe aah nahi
kiski duniya yahaan tabaah nahi
kaun hai jiske lab pe aah nahi
husn par dil zarur aayegaa
isse bachne ki koi raah nahi
isse bachne ki koi raah nahi
zindagi aaj nazar milte hi lut jaayegi
suna hai teri mahfil me rat jaga hai
saaqiya aaj mujhe nind nahi aayegi
aankho-aankho me yun hi raat guzar jaayegi
sunaa hai teri mahfil me rat jaga hai
sunaa hai teri mahfil me rat jaga hai