ramayya vastaavayya, ramayya vastaavayya \- 2
maine dil tujh ko diya \- 2
haan ramayya vastaavayya, ramayya vastaavayya
Rafi:nainon men thi pyaar ki roshani
teri aankhon men ye duniyaadaari na thi\-2
Lata:tu aur tha tera dil aur tha
tere man men ye miithi kataari na thi
main jo dukh paaun to kya, aaj pachhataaun to kya
maine dil tujh ko diya \- 2
haan ramayya vastaavayya, ramayya vastaavayya ……….
Rafi:us desh men tere parades men
sone chaandi ke badale men bikate hain dil
Lata: is gaanv men dard ki chhaanv men
pyaar ke naam par hi tadapate hain dil
chaand taaron ke tale, raat ye gaati chale
maine dil tujh ko diya \- 2
haan ramayya vastaavayya, ramayya vastaavayyaa ………..
aa…
Lata:yaad aati rahi dil dukhaati rahi
apane man ko manaana na aaya hamen\-2
tu na aae to kya, bhool jaae to kya
pyaar kar ke bhulaana na aaya hamen\-2
vahin se dur se hi, tu bhi ye kah de kabhi
maine dil tujh ko diya \- 2
haan ramayya vastaavayya, ramayya vastaavayyaa …………….
Mukesh: rasta vahi aur musaafir vahi
ek taara na jaane kahaan chhup gaya
duniya vahi duniyaavaale vahi
koi kya jaane kis ka jahaan loot gaya
meri aankhon men rahe, kaun jo tujhase kahe
maine dil tujh ko diya \- 2
haan ramayya vastaavayya, ramayya vastaavayyaa ….