Pal kaisa pal
Pal mein jaaye phisal
Chaah ke bhi pakad paaun na
Pal kaisa pal
Pal mein jaaye phisal
Chaah ke bhi pakad paaun na
Milke juda ho na paayega dil
Dil ko main samajh paaun na
Hmmm…khwahish hai itni si yaar
Der tak rukna abki baar
Pyaar ke lamhe ho’n hazaar
Unhi mein sadiyaan jee lunga main
Oh…pal kaisa pal
Pal mein jaaye phisal
Chaah ke bhi pakad paaun na
Milke juda ho na paayega dil
Dil ko main samajh paaun na
Samajh paaun na…
Samajh paaun na…
Matmaile paaniyon mein
Aks tera dikhta hai
Baarish ki boonda-boondi mein
Panney dhundhle likhta hai
Jo hona hai ho jaane do
Taaron ko so jaane do
Saanson ko kho jaane do na…
Ab tere bin mera
Zikr hi gum jaayega
Iss pal ko kass ke thaam lun
Hatheli se phir nikal jaaye naa
Oh..pal kaisa pal
Pal mein jaaye phisal
Chaah ke bhi pakad paaun na
Milke juda ho na paayega dil
Dil ko main samajh paaun na
Samajh paaun na…
Samajh paaun na…