O mere sona re sona re sona re
De dungi jaan juda mat hona re
Maine tujhe zara der mein jana,
Huwa kusur khafa mat hona re
Maine tujhe zara der mein jana,
Huwa kusur khafa mat hona re
O mere sona re sona re sona…….
O meri bahon se nikal ke
Tu agar mere raste se hat jayega
Toh laharake ho balkhake
Mera saya tere tan se lipat jayega
Tum chudao lakh daman
Chodte hain kab yeh arman
Ki main bhi sath rahungi rahoge jahan
O mere sona re sona re sona…….
De dungi jaan juda mat hona re
Maine tujhe zara der mein jana
Huwa kusur khafa mat hona re
O mere sona re sona re sona…….
O miya humse na chipao
Woh banawat kee sari adayen liye
Ki tum ispe ho itharate
Ki main pichhe hun sau iltijaen liye
Jee main khush hun mere sona
Jhuth hai kya, sach kaho na
Ki main bhi sath rahungi rahoge jahan
O mere sona re sona re sona…….
De dungi jaan juda mat hona re
Maine tujhe zara der mein jana,
Huwa kusur khafa mat hona re
O mere sona re sona re sona…….
O phir humse na ulajh na
Nahi lat aur uljhan mein pad jayegi
O pachataogi kuch aise
Ki yeh surakhi labon ki utar jayegi
Yeh saja tum bhool najana
Pyar ko thokar mat lagana
Ki chala jaunga phir main najane kahan
O mere sona re sona re sona…….
De dungi jaan juda mat hona re
Maine tujhe zara der mein jana
Huwa kusur khafa mat hona re
Maine tujhe zara der mein jana
Huwa kusur khafa mat hona re
O mere sona re sona re sona…….