Namak Halaal – Ke Pag Ghunghroo Bandh Meera Lyrics – Kishore Kumar – Chorus

Buzurgon ne
Buzurgon ne, farmaya ki pairon pe apne khade hoke dikhlaao
Phir yeh zamaana tumhaara hai
Zamaane ke sur taal ke saath chalte chale jaao
Phir har taraana tumhaara fasaana tumhaara hai
Arey to lo bhaiya hum
Apne pairon ke oopar khade ho gaye
Aur milali hai taal
Dabaalega daaton tale ungliyan,liyan
Yeh jahan dekhkar,dekhkar apni chaal
Wah wah wah wah
Dhanvad

Ki pag ghungroo
Ki pag ghungroo baandh meera naachi thi… (2)
Aur hum naachen bin ghungroo ke
Ki pag ghungroo baandh meera naachi thi
Woh teer bhalaa, kis kaam ka hai
Jo teer nishaaane se chooke chooke chooke re!
Ki pag ghungroo…

Aap andar se kuch aur
Bahar se kuch aur nazar aate hain
Bakhuda shakal se to chor nazar aate hain
Umar guzari hai saari chori mein
Saare sukh chain band jurm ki tijori mein

Aap ka to lagta hai bas yahi sapna
Ram naam japna paraya maal apna… (2)
Watan ka khaaya namak to namak halaal bano
Farz imaan ki zinda yahaan misaal bano
Paraya dhan parayi naar pe nazar mat dalo
Buri aadat hai yeh aadat abhi badal dalo
Kyonke yeh aadat to woh aag hai jo
Ik din apna ghar phoonke phoonke phoonke re!
Ki pag ghungroo…

Mausam-e-ishq mein machale huwe armaan hain hum
Dil ko lagta hai ke do jism ek jaan hai hum
Aisa lagta hai to lagne mein kuchh buraayi nahin
Dil yeh kehta hai aap apni hain paraayi nahin
Sange marmar ki hai, koi moorat ho tum
Badhi dilkash badhi, khubsoorat ho tum
Dil dil se milne ka koi mahoorat ho pyaase dilon ki zaroorat ho tum
Dil cheer ke dikhladoon maein dil mein yahin soorat haseen
Kya aapko lagta nahin hum hain mile pehle kahin
Kya desh hai kya jaat hai
Kya umra hai kya naam hai

Aji chhodhiye in baaton se humko bhala kya kaam hai
Aji suniye to
Hum aap milen to phir ho shuroo afsaane laila majnoo laila majnu ke
Ki pag ghungroo…