Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera
Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera
Aankhon se zarne kyun phut-te hai
Naino ke pokhar kyun sukhte hai
Ashqo mein sapne beh jaate hai kyun
Waade adhure reh jaate hai kyun
Kyun hota hai ehsaas khone ka
Kyun hota hai main jaanu na
Kyun hota hai gham kisi ke khone ka
Kyun hota hai main jaanu na
Saanse begaani ho gayi hai
Dhadkan parai si lage
Oo saari fizaao mein yahaan ghul
Koi ruswaai si lage
Khwaabon ke moti kyun tut-te hai
Khushiyon ke mausam kyun ruthate hai
Bin bole naina keh jaate hai kyun
Alfaaz hothon pe reh jaate hai kyun
Kyun hota hai ehsaas khone ka
Kyun hota hai main jaanu na
Kyun hota hai gham kisi ke khone ka
Kyun hota hai main jaanu na
Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera
Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera..