Mujh se pahli si muhabbat
Mere mahboob na maang (x4)
Main ne samjha tha ke
Tu hai to darakhshaan hai hayat
Tera gham hai to
Gham-e-dahr ka jhagṛa kiya hai
Teri soorat se hai
Alam mein bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siva
Duniya mein rakkha kya hai
Teri aankhon ke siva
Duniya mein rakkha kya hai
Tu jo mil jaye to
Taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat
Chaha tha yoon ho jaaye
Haan Mujh se pahli si muhabbat
Mere mahboob na maang
Mujh se pahli si muhabbat
Mere mahboob na maang
Aan-ginat sadiyon ke
Taarek bahemana talism
Aan-ginat sadiyon ke
Taarek bahemana talism
Resham-o atlas-o
Kam-khab mein bunwaye hoye
ja-ba-ja bikte hoye
Koocha-o baazaar mein jism
khaak men lithṛe hoye
Khoon mein nahlaye hoye
Lauṭ jaati hai
Idhar ko bhi nazar kya keeje
Ab bhi dil-kash hai
Tera husan magar kiya keeje
Ab bhi dil-kash hai
Tera husan magar kiya keeje
Aur bhi dukh hain zamaane mein
Muhabbat ke siva
Raahaten aur bhi hain
Wasal ki rahat ke siva
Mujh se pahli si muhabbat
Mere mahboob na maang (x5)