Duniya gol hai aaj maine maan liya,
Wahi par pahuncha hun jahaan se start kiya..tha,
Jhujharu ab main haar gaya,
Itne dino ka sangharsh barbaad gaya,
Main aapa kho raha hoon,
Jaagta hun kam,
Zyada so raha hoon,
Kayarta ki charam seema paar logon ko,
Chup karata tha,
Aaj khud main ro raha hun,
Gumnami ka andhera behtar hai,
Likhna nahi fayeda kuch bhi keh kar hai,
Befizul ki utha li zimewari maine,
Tez kulhadi karke uspe gardan maari maine,
Har nazar gadi mujh par,
Nazar lagi mujhe,
Main niche hoon ya sabse upar,
Khabar nahi mujhe,
Dheron bhaav ghabrahat ke mere mooh pe,
Kheench ke rakhta hoon aaj kal main kaan khud ke,
Upar se vishvash uthta jaa raha hai,
Rinni hun tumhara bhai gaa raha hai,
Raahu betha sar par ketu aane wala hai,
Kismat khuli nahi kabhi laga uspar laga tala hai,
Baais saalon se fansa hoon iss zindagi mein,
Main hi akela berozgar hoon apni gali mein,
Nashihat dete log saath nahi deta koi,
Vaada karte dete tod jaise hain neta koi,
Dhoondhne mein laga khazana Kuber ka,
Waqt ki barbadi karta hosh nahi der ka,
Musibat mein nahi main khud hi mushibat hoon,
Khushiyan khareedni hai bolo kya keemat doon?
Kya jeevan mera hoga theek hai mujhe shak,
Khud ki khushi khudkhushi hai mera haq,
Buzdil nahi jo baatein kahi ek soch hai,
Sab ek railgadi mein sawaar bas alag coach hai,
Aaj dukh mein hoon agla padaav kaamyabi,
Main asli pita tumhara tumhe khabar zara bhi,
Jaante nahi beshaq se sunte mere gaane,
Na rakho dilchaspi agar koi meri maane,
Thaane-thane mein likha hai mera naam,
Bura insaan jo karta bas ache kaam,
Shaam hote hi aa jati mujhe teri yaad,
Kasam se mohabbat nahi huyi tere baad,
Jo tere saath tha mera naam mitana hai,
Khud ko bhula hoon yaad dilana hai,
Asal mein kho jana hi manzil paana hai,
Main pura pagal ye duniya pagalkhana hai,
Aankhein masal li main ki poori tyari hai,
Door karni hai dikatein jitni bhi saari hai,
Sab kuch karna hai theek koshish meri jaari hai,
Sabse piche khada tha ab meri baari hai,
Meri baari hai,
Meri meri baari hai,
Sabse piche khada tha ab meri bari hai, (x2)
Badbola hun mujhe lena dena kya hoti taal,
Kalam se wafadari nahi chhodi filhaal,
Dhanaywad tahe dil se karta hoon shrotagano ka,
Jinhone rakhe sar aankhon par khurafati mere khayal,
Ab lekin mujhko pachtana nahi hai phir se,
Akela hi accha hoon door bhagun mehfil se,
Badi mushkil se ab jaake suni hai dil ki,
Accha laga mujhko aaj khud hi se milke,
Dheeraj sanyam sanjeedgi,
Sabki naak mein dam kiya,
Aankhon mein jhonki dhool,
Aur kaam kam kiya,
Ab laanghna hai shamtaaon ko,
Aadto ka karna hai ulhangan,
Daridarrta ko chhod,
Mehnat se sapna karna hai sampan,
Dum kham kam nahi,
Bas jeet ki darkaar hai,
Dil aur dimaag mere dono bimaar hai,
Mujhse milto julto ki tadaad bharmaar hai,
Aap ke samaksh ye kuch mere vichar hain..