Mausam hain aashiqaana
Aye dil kahi se unako aise mein dhoondh lana
Aise mein dhoondh lana
Mausam hain aashiqaana
Aye dil kahi se unako aise mein dhoondh lana
Aise mein dhoondh lana
Mausam hain aashiqaana
Kehana ke rut jawaan hai, aur hum taras rahe hain
Kali ghata ke saaye, birahan ko das rahe hain
Dar hain naa maar daale, saawan ka kya thikana
Saawan ka kya thikana
Mausam hain aashiqaana
Sooraj kahi bhi jaaye, tum par naa dhoop aaye
Tum par naa dhup aaye
Tum ko pukarate hai, in gesooon ke saaye
Aa jaao main bana dun, palakon ka shamiyana
Palakon ka shamiyana mausam hain aashiqaana
Firate hain hum akele, baaho mein koi lele
Aakhir koi kahan tak tanahaeyon se khele
Din ho gaye hain jaalim raate hain katilana
Raate hain katilana mausam hain aashiqaana
Ye raat ye khamoshi, ye khwaab se najaare
Ye khwaab se najaare
Juganoo hain yaa jameen par, utare huye hain taare
Bekhwaab meri aankhe
Bekhwaab meree aankhe, madahosh hain jamaanaa
Madahosh hain jamaanaa mausam hain aashiqaana
Aye dil kahi se unako aise mein dhoondh lana
Mausam hain aashiqaana