manbhawan ke ghar jaye gori
ghunghat me sharmaye gori
bandhi rahe ye pyar ki dori
hame na bhulana hame na bhulana
hame na bhulana hame na bhulana
manbhawan ke ghar jaye gori
ghunghat me sharmaye gori
bandhi rahe ye pyar ki dori
hame na bhulana hame na bhulana
hame na bhulana hame na bhulana
bachpan ke din khel ganwaye
aayi jawani to baalam aaye
bachpan ke din khel ganwaye
aayi jawani to baalam aaye
aayi jawani to baalam aaye
tere aangan baje badhayi gori
kyun naina chhalkaye gori
bandhi rahe ye pyar ki dori
hame na bhulana hame na bhulana
hame na bhulana hame na bhulana
is duniya ki reet yahi hai, reet yahi hai
hath jo thame meet wahi hai, meet wahi hai
hath jo thame meet wahi hai
ab hum to huye paraye gori
dil tere sang jaye gori
bandhi rahe ye pyar ki dori
hame na bhulana hame na bhulana
hame na bhulana hame na bhulana
masti bhare sawan ke jhule
tujhko kasam hai jo tu bhule
masti bhare sawan ke jhule
tujhko kasam hai jo tu bhule
tujhko kasam hai jo tu bhule
ab ke jab wapas aaye gori
god bhari le aaye gori
bandhi rahe ye pyar ki dori
hame na bhulana hame na bhulana
hame na bhulana hame na bhulana
manbhawan ke ghar jaye gori
ghunghat me sharmaye gori
bandhi rahe ye pyar ki dori
hame na bhulana hame na bhulana
hame na bhulana hame na bhulana