maine kaha phulo se
maine kaha phulo se haso to wo khilkhila ke has diye
aur ye kaha jivan hai bhai mere bhai hasne ke liye
ho maine kaha phulo se haso to wo khilkhila ke has diye
aur ye kaha jivan hai bhai mere bhai hasne ke liye
hasne ke liye
maine kaha phulo se haso to wo khilkhila ke has diye
suraj hasa to bikhar bikhar gayi kirne
suraj hasa to bikhar bikhar gayi kirne
suraj hasa re kiran kiran chun kar dharti ye
saj ke sunhari ban gayi re, maine kaha
o maine kaha sapno se saji to wo muskura ke saj gaye
aur ye kaha jivan hai bhai mere bhai sajne ke liye
sajne ke liye
maine kaha phulo se haso to wo khilkhila ke has diye
ye sham to yu hase jaise hase dulhan
ye sham to yu hase jaise hase dulhan
ye sham to nile nile sawle ambar me
rang jo gulabi lage bharne, maine kaha
o maine kaha rango se chhalko to wo jag ye sara rang gaye
aur ye kaha jivan hai bhai mere bhai rangne ke liye
rangne ke liye
maine kaha phulo se haso to wo khilkhila ke has diye
mausam mila wo kahi ek din mujhko
mausam mila wo kahi ek din mujhko
mausam mila re maine kaha ruko khelo mere sang tum
mausam bhala ruka jo wo ho gaya gum, maine kaha
o maine kaha apno se chalo to wo sath mere chal diye
aur ye kaha jivan hai bhai mere bhai chalne ke liye
chalne ke liye
maine kaha phulo se haso to wo khilkhila ke has diye
maine kaha phulo se haso to wo khilkhila ke has diye