Kuch Iss Tarah, Kuch Iss Tarah
Ae Raat Thamm Zara Kuch Iss Tarah
Kuch Iss Tarah, Kuch Iss Tarah
Ae Raat Thamm Zara Kuch Iss Tarah
Do Jism Se Ek Jaan Mein
Dhal Jayein Hum Zara Kuch Iss Tarah
Yeh Jo Chaand Ik Lakeer Sa Hai Aasman Par
Yoon Hi Aankh Mein Meri Rahe Chamakta Raat Bhar
Ae Baadlon Zara Si Tumse Ilteja Hai Yeh
Fanna Na Hon Ummeed Ke Sitare Doob Kar
Kuch Iss Tarah, Kuch Iss Tarah
Ae Raat Thamm Zara Kuch Iss Tarah
Do Jism Se Ek Jaan Mein
Dhal Jayein Hum Zara Kuch Iss Tarah
Alvida Humko Kahe Muskura Ke Maut Bhi
Thodi Si Saasein Chhupa Le Seene Mein Kahin
Jee Le Aa Ik Raat Mein Umra Bhar Ki Zindagi
Koyi Bhi Pal Reh Na Jaye Jeene Mein Kahin
Kuch Iss Tarah, Kuch Iss Tarah
Ae Raat Thamm Zara Kuch Iss Tarah
Do Jism Se Ek Jaan Mein
Dhal Jayein Hum Zara Kuch Iss Tarah
Rooh Ki Parwaz Pe Hain Parinde Ishq Ke
Humko Chahat Ki Nazar Se Dekh Lo Aasman
Aankh Mein Jo Ahq Hai
Chaand Ko Bhi Rashk Hai
Likh Rahe Hain Pyar Ki Hum Aisi Dastaan
Kuch Iss Tarah, Kuch Iss Tarah
Ae Raat Thamm Zara Kuch Iss Tarah
Do Jism Se Ek Jaan Mein
Dhal Jayein Hum Zara Kuch Iss Tarah