Bas ek chingaari, se aag lagti hai
Woh chingaari toh soyi hai
Tere hi seene mein
Zamana jaisa hai
Ussey waisa hi rehne de
Bataao na maza hi kya
Hai aise jeene mein
Bas ek chingaari, se aag lagti hai
Woh chingaari toh soyi hai
Tere hi seene me
Karta hai kyun shikayate
Pehle sudhar aadatein
Ik ik boond se hi bantha hai samander
Khud pehla kadam utha
Khud apni kasam toh khaa
Tujhko pataa nahi
Khuda hai tere andar
Nakamiyo ke bahane hazaaro hai
Kiska kusoor kahein
Par zimmedaari hamari bhi banthi hai
Itna zaroor kahein
Jo ho raha hai
Wo ankho ke aage hai
Nazre kyun pher le hum
Apne iraado se manzar badalne ka
Sar pe suroor rahein
Mere yaara mera yaara sunle
Dil ki pukaar zara
Sachaiyaan saari, nazdeek hai tere
Jo dhoondhe to
Milegi wo tujhe aaine mein
Zamana jaisa hai
Usse waisa hi rehne de
Batao na maza hi kya
Aise jeene mein
Karta hai kyun shikayate
Pehle sudhar aadatein
Ik ik boond se hi bantha hai samandar
Khud pehla kadam utha
Khud apni kasam toh khaa
Tujhko pataa nahi
Khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi
Khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi
Khuda hai tere andar