Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na
Tera dupatta aaj bhi tere
Sar se sarakta hoga na
Baalon mein tere aaj bhi
Phool koi sajta hoga na
Thandi hawayen raaton mein tujhko
Thapkiya deti hogi na
Chaand ki thandak khwaabon mein
Tujhko leke to jaati hogi na
Sooraj ki kirne subah ko teri
Neendein udaati hogi na
Mere khayaalon mein sanam
Khud se bhi baatein karti hogi na
Main dekhta hoon chhup chhupke tumko
Mehsoos karti hogi na
Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na
Tadev lagnam suridam tadev
Naarabalam chandra balan tadev
Vidya balam daiv balan tadev
Lakshmi pate tendra yugam swarami
Shubmangal sawadhan
Kaagaz pe meri tasveer jaisi
kuch to banati hogi na
Ulat palatke dekh ke usko
Jee bhar ke hansti hogi na
Hanste hanste aankhein tumhari
Bhar bhar aati hogi na
Mujhko dhaka tha dhoop mein jisse
Wo aanchal bhigoti hogi na
Saawan ki rimjhim mera taraana
Yaad dilati hogi na
Ek ek meri baatein tumko
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na
Kya tum mere in sab sawaalon ka
kuchh to jawaab dogi na