Ye dil ki lagi kam kya hogi
Ye ishq bhala kam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga
Naghmon se barasti hai masti
Chhalke hain khushi ke paimaane
Chhalke hain khushi ke paimaane
Aaj aisi bahare aayi hain
Kal din ke banenge afsaane
Kal din ke banenge afsaane
Ab isse zyada aur haseen
Ye pyaar ka mausam kya hoga
Ab isse zyada aur haseen
Ye pyaar ka mausam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga
Ye aaj ka rang aur ye mehfil
Dil bhi hai yaha dildaar bhi hai
Dil bhi hai yaha dildaar bhi hai
Aankhon mein qayaamat ke jalwe
Seene mein tadapta pyaar bhi hai
Seene mein tadapta pyaar bhi hai
Is rang mein koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Is rang mein koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga
Halat hai ajab deewano ki
Ab khair nahin parwano ki
Ab khair nahin parwano ki
Anjaame muhabbat kya kahiye
Lay badhne lagi armaano ki
Lay badhne lagi armaano ki
Aise mein jo paayal tut gayi
Phir ai mere hamdam kya hoga
Aise me jo paayal tut gayi
Phir ai mere hamdam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga