Sheher ke ik mod par
Kadmo ki lakhon aahaton ke baad bhi
Patthar ke tu tukdo mein se
Jab jhakati hai ik nanhi si kali
Yeh us sheher ke shor par
Chup chap si ek jeet hai
Nazare ghuma kar dekhiye
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai
Din bhar sunke sapno ki baatein
Ginati hai aakhein raaton mein yaadein
In palko ki thakaan mein bhi umeed hai
Zinda maange ji zara thaamiye na apni nazar
Aur us kali par modiye
Mitti ka dil tute agar sone se usko jodiye
Yeh zindagi ke shor par chup chap si ek jeet hai
Nazare ghuma kar dekhiye
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai
Kabhi saamne aaye jo dar
Gungunaiye daastan..
Kashti koi ban paaye to
Paani mein bhi hai raasta
Ye falsafon ki bheed mein
Gumnaam si ek jeet hai
Nazare ghuma kar dekhiye
Har mod par umeed hai
Nazare ghuma kar dekhiye
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai.