Grahan lyrics – Te3n | Vishal Dadlani

Khushi ke jalte sooraj ko
Sukoon ke ujhale ghumbaj ko
Buri nazron ka nigal gaya grahan

Asar thi uski saazish mein
Jo saiyaron ki gardish mein
Zaher ki tarha thaher gaya grahan

Khushi ke jalte sooraj ko
Sukoon ke ujhale ghumbaj ko
Buri nazron ka nighal gaya grahan

Woh aafat hi kuch aisi thi
Ki fitrat deemak jaisi thi
Jo til til karke utar gaya grahan

Nazron ki aage dhvandh hai
Sab darwaze band hai
Jootha lage har dilasa

Haaf rahi aawaaz hai
Parde ke peeche raaz hai
Hota nahi kyun khulasa

Muskurahat sehmi hai
Gham ki gehma ghemi hai
Duaaen saari nikali kebewafa

Raat katati karvat me
Aansu chhupake silvat me
Subaah ki kirane bhi lagti hai khafa

Qayamat bhar ke daaman me
Kisi ke ghar ke aangan me
Keher ki tarha utar gaya grahan

Nazron ke aage dhundh hai
Sab darwaze bandh hai
Jootha lage har dilasa
Haaf rahi aawaz hai
Parde ke peechhe raaz hai
Hota nahi kyu khulasa