Chand chupa badal mein sharma ke meri jana
Chand chupa badal mein sharma ke meri jana
Sine se lag jaa tu balkhake meri jana
Gumsum sa hai gupchup sa hai
Madhosh hai khamosh hai
Yeh sama, han yeh sama kuch aur hai
O ho ho chand chupa badal mein sharma ke meri jana
Sine se lag jaa tu balkhake meri jana
Najdikiyan badh jane de, arre nai baba nai
Abhi nai nai nai
Ye duriyan mit jane de, arre nai baba nai
Abhi nai nai nai
Dur se hi tum jee bhar ke dekho
Tum hi kaho kaise dur se dekhu
Chand ko jaise dekhta chakor hai
Aye gumsum sa hai gupchup sa hai
Madhosh hai khamosh hai
Yeh sama, han yeh sama kuch aur hai
Ho ho ho chand chupa badal mein sharma ke Jane jana
Sine se lag jaa tu balkhake meri jana
Aaja re aaja re chanda ke jab tak tu naa ayega
Sajana ke chehre ko dekhne yeh mann tarsa jayega
Naa naa chanda tu nahi ana tu jo aya toh
Sanam sharma ke kahi chala jaye naa
Aaja re aaja re chanda tu lakh duwaye payega
Naa naa chanda tu nahi aana
Warna sanam chala jayega
Aanchal mein tu chup jane de, arre nai baba nai
Abhi nai nai nai
Julfo mein tum kho jane do, arre nai baba nai
Abhi nai nai nai
Pyar toh naam hai sabra ka humdam
Woh hi bhala bolo kaise kare ham
Sawan ki raah jaise dekhe mor hai
He rehne bhi do Jaane bhi do
Ab chodo na Muhh modo na
Sine se lag jaa tu balkhake meri jana
Aaya re aaya chanda ab har khwahish puri hogi
Chandani raat mein har sajani apne sajana ko dekhegi
Aaya re aaya chanda ab har khwahish puri hogi
Chandani raat mein har sajani apne sajana ko dekhegi
Aaya re aaya chanda ab har khwahish puri hogi
Chandani raat mein har sajani apne sajana ko dekhegi