chali kaunse desh gujariya tu saj dhaj ke

jaun piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke

chhalke mat pita ki ankhiya, rowe tere bachapan ki sakhiya
bhaiya kare pukar ho
bhaiya kare pukar na ja ghar aangan taj ke
jau piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke
chali kaunase desh gujariya tu saj dhaj ke
dur desh mere pi ki najariya, woh unki mai unki sanwariya
bandhi lagan ki dor ho
bandhi lagan ki dor mainne sab soch samajhake
jau piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke
chali kaunase desh gujariya tu saj dhaj ke
do din jag me dhum machaye, jake koyi wapas naa aaye
khoj khoj thak jaye ho
khoj khoj thak jaye do naina chand suraj ke