Apni To Jaise Taise Lyrics – Laawaris [1981] – Amitabh Bachchan – Kishore Kumar

Apni to jaise taise
Thodi aise ya waise
Apni to jaise taise
Thodi aise ya waise
Kat jaayegi
Aapka kya hoga janaabe-aali
Aapka kya hoga

Apne aage na peeche
Na koi upar neeche
Apne aage na peeche
Na koi upar neeche
Ronewala
Na koi ronewali janaabe-aali
Aapka kya hoga

Aap bhi meri tarah insaan ki aaulad hain
Aap mooh mangi dua
Hum unsooni faryaad hain

Aap bhi meri tarah insaan ki aaulad hain
Aap mooh mangi dua
Hum unsooni faryaad hain
Woh jinhe sara zamana samjhe laawaris yahan
Aap jaise zaalimon ke zulm ki ijaat hain
Gaali huzur ki to
Lagti duaon jaisi
Gaali huzur ki to
Lagti duaon jaisi
Hum dua bhi de to lage hai gaali
Aapka kya hoga janaabe-aali
Aapka kya hoga hm

Aapke maathe se chhalke jo pasina bhi kahin
Aasma hilne lage aur kaap oothe yeh zameen
Aapka to yeh pasina khoon se bhi keemti
Aur apne khoon ki keemat yahan kuch bhi nahin
Apna to khoon paani
Jeena marna bemaani
Apna to khoon paani
Jeena marna bemaani
Waqt ki har ada hai apni dekhi bhali
Aapka kya hoga janaabe-aali
Aapka kya hoga

Haan apni to jaise taise
Thodi aise ya waise
Apni to jaise taise
Thodi aise ya waise
Kat jaayegi
Aapka kya hoga janaabe-aali
Aapka kya hoga

Apne aage na peeche
Na koi upar neeche
Apne aage na peeche
Na koi upar neeche
Ronewala
Na koi ronewali janaabe-aali
Aapka kya hoga