ye aansu ye jajabat tum bechte ho, garibo ke halat
tum bechte ho amiro ki sham garibo ke nam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
isi baat par sabko mera salam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
ye kya hai tamasha ye kya hai sitam
ye kya hai tamasha ye kya hai sitam
maja aa gaya bas khuda ki kasam, khusi ki dukano pe bikta hai gum
bikta hai gum
fida aise gum pe hai khusiya tamam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
ye fankar ki ek hasi yad hai, ye fankar ki ek hasi yad hai
kisi bhukhe nange ki fariyad hai, ye tasvir to kabile dad hai
kabile dad hai
ise dijiye ap pahla inam, ise dijiye ap pahla inam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
ye masum bacha ye majbur maa, ye masum bacha ye majbur maa
na chulha na bartan na ghar na dhua
na chulha na bartan na ghar na dhua
garibi ki muh bolti dasta, amiro ka muh bolta intkam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
isi bat par mera sab ko salam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam