Sochne ki baat hai,
Mera vartmaan kya hai?
Parichay ya Pardhaan,
Mera asli naam kya hai?
Madad karun ya maangu,
Asmanjas mein hun,
Samjhdari mere liye ye kaam naya hai,
Phir bhi ab yehi karunga,
Chhod ke laaparwahi,
Ye neend bigaad deti sabkuch khaamkha hi,
Main toh haan mein haan hi milayi thi sabki,
Lekin mere apno ne hi di mere khilaaf gawahi,
Mukadma tha har kisi ka saah dene ka,
Sammaan mein kami nahi beshak ho dusre kheme ka,
Jinko jinko maine ache samay se milaya,
Aaj unke paas nahi waqt mujhe dene ka,
Maamuli main par har koi mere liye khaas hai,
Abhi bhi mujhe vishwaas par vishwaas hai,
Nafraton ko nazarandaaz karke,
Puri duniya se dhakke khake phuncha tere paas main,
Adam aur Eve ki tarah mujhe bhi fal de,
Jab bhi sochun rukne ka,
Mere kadam khud-b-khud chal dein, (x2)
Dimag jam chuka zubaan jali padi,
Shayri anginat raddi mein hai padi,
Hadbadi mein ye sab likh raha hun beshak,
Meri mehnat se meri kismat ladi padi,
Lekin samjhota karaana mera farz hai,
Gale milna ilaaj chahe jaisa bhi marz hai,
Yehi toh tarz hai,
Sur mile mera tumahara maafi maang lo,
Ya kardo maaf kya harz hai,
Itni galatfehmiyan le jaoge kaha tum,
Ye duniya choti si mujhko paoge har jagah tum,
Par kaise bhala tum mujhse bhale banoge,
Usko chori kehte jisko samjhte ho kala tum,
Chalo chhodo chugalkhoro ki baat ko,
Aaj nahi toh kal sudhar jayenge haalat toh,
Par apko saath dena hoga harpal,
Khud aana hoga bhejna na kisi saanp ko,
Adam aur Eve ki tarah mujhe bhi fal de,
Jab bhi sochun rukne ka,
Mere kadam khud-b-khud chal dein, (x2)