Shah e madina suno,
Ilteja Khuda ke liye,
Karam ho mujh pe,
Habeeb e khuda khuda,
Khuda ke liye,
Huzoor gunchha e,
Umeed ab to khil jaaye,
Tumhare dar ka gada hun,
Toh bheekh mil jaaye,
Bhar do jholi..
Bhar do jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaunga khali,
Bhar do jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaunga khali, (x2)
Kuchh navasoon..
Kuch navasoon ka sadka ataa ho,
Banke aaya hun dar pe savaali,
Bhar do jholi meri Tajedar e madina,
Laut kar main na jaunga khali,
Tumhare aastane se zamaana kya nahi paata,
Tumhare aastane se zamaana kya nahi paata,
Koi bhi dar se khali maangane wala nahi jaata,
Bhar do jholi..
Bhar do jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaunga khali,
Bhar do jholi meri sarkaar e madina,
Lot kar main na jaunga khali,
Hai mukhalif zamaana kidhar jaaye hum,
Halat e be kasi kisko dikhlae hum,
Hum tumhare bhikhari hain ya mustafa,
Hum tumhare bhikhari hain ya mustafa,
Kiske aage bhala hath failaayein hum,
Bhar do jholi..
Bhar do jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaunga khali,
Bhar do jholi meri sarkaar e madina,
Lot kar main na jaunga khali,
Tum zamaane ke mukhtar ho ya nabi,
Be kason ke madadgar ho ya nabi,
Sabki sunte ho apne ho ya gair ho,
Sabki sunte ho apne ho ya gair ho,
Tum garibon ke gamkhaar ho ya nabi,
Bhar do jholi..
Bhar do jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaaunga khali,
Bhar do jholi meri Tajedar e madina,
Laut kar main na jaunga khali,